Mujhko Choo

Mujhko Choo

Holy Spirit

January 14, 2025

Mujhko Choo lyrics

Verse 1
Tere paas jo bhi aaye
Khaali haathon se na jaaye
Tere vachano mein jo bhi chale
Andhero mein roshni paaye

Tu chule agar banzar bahar ban jaaye
Tu chule agar patthar mein bhi jaan aaye x2

Chorus
Choo tu mujhko choo
Choo khuda ki rooh x2

Verse 2
Tere ha tere paas mein rahoon
Tere ha tere saath mein chaloon
Teri ha teri raah pe mein badhu
Teri ha teri baaton ko mein sunoon
Dil se keh raha hoon mujhpe chaa ja tu

Chorus
Choo tu mujhko choo
Choo khuda ki rooh….. x2

Verse 3
Tere paas jo bhi aaye
Khaali haathon se na jaaye
Tere vachano mein jo bhi chale
Andhero mein roshni paaye

Jaisa chahe tu banale
Tere jaisa mujhko banale
Ho poori mujhme teri mahima
Haath thamke tu sang chalna

Tere paas mujhko hai rehna
Dil ki baat tujhse hai kehna x2

Chorus
Choo tu mujhko choo
Choo khuda ki rooh x2

Bridge
Jaisa chahe tu bana le
Tere jaisa mujhko bana le
Ho poori mujhme teri mahima
Haath thamke tu sang chalna
Tere paas mujhko hai rehna
Dil ki baat tujhse hai kehna (Female)

Chorus
Choo tu mujhko choo
Choo khuda ki rooh
Mujhko choo khuda ki rooh
Tu mujhko choo ae pakh rooh
Main kahoon phir se kahoon tu hoja rubaru.
Credits -  Shukriya The Band

Song You May Like from  Shukriya The Band